Na pucho shayar se,
Raaz uske kalam ka,
Pucho na ussey,
Kya hai uske lafzon ka pata..
Baayaan-e-shayar..!! |
Ashq hain ye toh uske,
Shihaai na kaho inhein,
Dard gehra hai ye,
Nahi sirf koi qissah hai,
Girati palkon se jaam si,
Madhosh kisi rooh ka,
Bheega sa paigaam hai ye,
mohobbat nahi faqat ye,
chahat ka samadar hai uske,
jazbaat-e-tufaan hai ye,
behna toh aadat hai uski,
aur hai lat likhne ki,
nasha lafzon ka hai koi,
aur dard koi dereenah(old) hai ye,
Ahmaq(fool) nahi vo,
bas mukhtalif(different) kuch jahan se hai,
bekhabar nahi zindagi se,
gulaam-e-zindagi hai vo toh,
parkha gehra har hissa usne magar,
harra kai baar jo khuddi se,
aesa koi aaqil(intelligent) hai ye,
khabon me rehta hai vo,
koi khoobsurat jahan hai uska,
hai koi jannat tasuwwar ki,
Haddon ka nahi daira uska.
Kahin door hai ghar shayad,
Zameen kab uska thikana tha,
Farishton ka hamnafas(friend) hai ye,
Musafir raaton ka hai vo,
Aftaab bekhabar ussey hai,
Hai chandani habeeb(beloved) uski
Aur tanhaa kamre ka ek kona hai,
Milta hai jab khud se vo,
Tabhi ka ye qissah hai,
Rabt(relation) uska khuddi se hai ye,
Kasak hai gehri koi,
Dard se bhara sandook hai,
Nikaal lata hai aksar vo jo,
Gouhar(gem/essence) usski ke hain kuch,
Yun toh dafan hain arse se,
Woqt ki dhool se lipatte padde hain,
Uske kuch bhikhre tukrein hain ye,
Kuch kadwa hai kabhi,
Sach ka sheesha bana jab bhi,
Dar nahi ussey gam ka,
Zhakmon ka ye uska libaaz hai,
dekh aaya hai vo,
Samandar ke rang hazar hain,
Uske tazurbe ki tasveer hai ye,
Yahi dard hai uska,
Merham bhi yahi hai,
Yahi hain humsafar uske,
Bas in lafzon ka hi ussey sahara hai,
Dosti kuch gehri hai safa se uski,
Dard baatne ka purana silsilla hai,
Es hi safar mein aaj shayar hai ye..