Sunday, 12 June 2011

Jane kyun aaj phir


Jane kyun aaj phir,
tumhari baat karne ko dil karta hai…



ek baar phir aaj,
tumhein kuch likhne ko,
ashkon se ek nazam uttarney ko,
tumhara intezaar karne ko,
aaj phir chokhat par,
baith jane ko dil karta hai…

phir aaj do pal,
tumhare kareeb rehne ko,
tumhare saaye ko gale lagane ko,
tumhare ehsaas me doob jane ko,
kuch do palon ke liye tumhare tasabur me,
doob jane ko dil karta hai…

phir se ek baar,
bheeg jane ko,
dil ke armaan pure karne ko,
muskurana kar ro dene ko,
chuppa kar rakhe safa par un lafzon ko,
bayaan karne ko dil karta hai…



yun toh kiya kai baar,
magar aaj phir,
tumhein palkon par basane ko,
tumhein dil ki har baat batane ko,
tumhein aasma banane ko,
aur phir tum me hi kahin,
gum ho jane ko dil karta hai…


Loves & Cares
Neha Sen  


Tuesday, 7 June 2011

Teri yaad ke darakht ke neeche baith kar…




Vo sehma aur khamosh duptta,
Jab ambar ko gale laga leta hai,
Us par lage sitaron se jab dheemi si roashni aati hai,
Aur mehtab ussey apne rang de deta hai,
Tab teri yaad ke darakht(tree) ke neeche baith kar,
Hum tere khayalon ke samandar me bheega karte hain…

Din bhar karte hain guft goo tumse,
Tumhein dil ka har haal bataya karte hain,
Aur in chup se palon me phir,
Tum tak kabhi na pahuchne wali aawaz ke,
 jawab ka intezaar karte hain…

Shor me sunte hain hum aahat tumhari,
Chahal-kadmi(walk) ko tumhari,
Kabhi koi dhun toh kabhi nagma bana lete hain,
Phir raat bhar chandni ko,
Bas vahi geet sunaya karte hain…



Kuch nahi rakhte hum paas humare,
Bas tumhari tasveer santh liye chala karte hain,
Bojh nahi koi,
Zar-e-ashab(jewel of tears) hai mera,
Chand me ussi ko nihara karte hain…

Dooba hota hai har lamha,
Chasni me tumhare ehsaas ke,
Aur har raat tumhare kareeb baith kar,
Hum safa(page) par tumhare naam ko utara karte hain,
Phir har pattey ko teri tasveer bana kar,
Hum teri yaad ke darakht ke neeche baith kar,
Tere ehsaas ki barish me bheega karte hain…