Muflis(poor) nahi hoon main,
Bas ek bebas si rooh hoon,
Nahi baitha kisi oochi bisaat par,
Magar makhalis(greedy) nahi hoon main,
Dava nahi hai mere paas,
Magar teri yaad ke moti hain,
Jhuk sakta hoon main hanth falane ko,
Magar nahi gir sakta itna,
Kaise ye daulat bech dun main,
Bas ek bebas si rooh hoon,
Nahi baitha kisi oochi bisaat par,
Magar makhalis(greedy) nahi hoon main,
Dava nahi hai mere paas,
Magar teri yaad ke moti hain,
Jhuk sakta hoon main hanth falane ko,
Magar nahi gir sakta itna,
Kaise ye daulat bech dun main,
Bheegna mat tu,
meri es ashab(tears) ki oos me,
Mujhe es haal me dekh kar,
Es sandook ki roshni se pet bhar leta hoon,
Bhookha nahi sota main,
Hai ek phool gulaab ka,
Murjhaye se rangon me pada,
Aur hain kuch nishaan,
Un chubhe kaanton ke,
Jinhein santh rakhta hoon main,
Hain kuch tukre panno ke,
Tumhare naam ke lafzon me sajhe,
Aur hain kuch safed safa ke hissey,
Tumhare ehsaas me jo adhure reh gaye the,
Inko hi padta rehta hoon main,
meri es ashab(tears) ki oos me,
Mujhe es haal me dekh kar,
Es sandook ki roshni se pet bhar leta hoon,
Bhookha nahi sota main,
Hai ek phool gulaab ka,
Murjhaye se rangon me pada,
Aur hain kuch nishaan,
Un chubhe kaanton ke,
Jinhein santh rakhta hoon main,
Hain kuch tukre panno ke,
Tumhare naam ke lafzon me sajhe,
Aur hain kuch safed safa ke hissey,
Tumhare ehsaas me jo adhure reh gaye the,
Inko hi padta rehta hoon main,
Rakha hai bandh kar maine,
Kuch lamho ke sukhe patton ko,
Aur hain kuch tasveerein,
Beete palon ko bayaan karti,
Bas inko ghoora karta hoon main,
Saansein chor jaonga main apni,
Rooh se naata kaise toor dun,
Rakhunga mehfooz inhein me jannat me,
Khuda se zindagi ka sauda kiya hai,
Kaise tujhse naata tor dun main…
Kuch lamho ke sukhe patton ko,
Aur hain kuch tasveerein,
Beete palon ko bayaan karti,
Bas inko ghoora karta hoon main,
Saansein chor jaonga main apni,
Rooh se naata kaise toor dun,
Rakhunga mehfooz inhein me jannat me,
Khuda se zindagi ka sauda kiya hai,
Kaise tujhse naata tor dun main…