Sunday 12 June 2011

Jane kyun aaj phir


Jane kyun aaj phir,
tumhari baat karne ko dil karta hai…



ek baar phir aaj,
tumhein kuch likhne ko,
ashkon se ek nazam uttarney ko,
tumhara intezaar karne ko,
aaj phir chokhat par,
baith jane ko dil karta hai…

phir aaj do pal,
tumhare kareeb rehne ko,
tumhare saaye ko gale lagane ko,
tumhare ehsaas me doob jane ko,
kuch do palon ke liye tumhare tasabur me,
doob jane ko dil karta hai…

phir se ek baar,
bheeg jane ko,
dil ke armaan pure karne ko,
muskurana kar ro dene ko,
chuppa kar rakhe safa par un lafzon ko,
bayaan karne ko dil karta hai…



yun toh kiya kai baar,
magar aaj phir,
tumhein palkon par basane ko,
tumhein dil ki har baat batane ko,
tumhein aasma banane ko,
aur phir tum me hi kahin,
gum ho jane ko dil karta hai…


Loves & Cares
Neha Sen  


4 comments: