Thursday 17 February 2011

Dar lagta hai.. !!




 









Sehme se hain hum,
Dar ek santh liye chalte hain,
Hain sawal kai,
In dafan jawabon se darte hain,


Kehta hai ye dil kabhi,
Kabhi dimaag ki sunna karte hain,
Hoti hain aawaazein bohot,
Aur hum kamzor ho jaya karte hain,


Zakhmon ka sagar dil hai ye,
Kabhi palkon par rakh lete hain,
Hai marham ki chahat essay bhi,
Par hum dawa se bhi dar jaate hain,


Dil hai masuam mera,
Har mor par sapne naye bun leta hai,
Hai bekhar ye duniya se,
Eski naram diwaaro se dar lagta hai,


Hai dar inka bhi,
Kam ho rahi ye jo dooriyaan hain,
Kabhi hoti hai chahat badhne ki aage,
Kabhi guzare woqt ke hum mehmaan hain,


Bhandh rakha hai humne es dil ko,
Essey udhne ka shauk koi purana hai,
Lagne laga hai fir se essey aasma pyara,
Humhein eski chahaton se dar lagta hai,


Sunte hain hum kabhi kabhi,
Jab dar ke chaddar kabhi utha dete hain,
Aahat hoti hai koi nayi si,
Dar kar fir hum essey chuppa lete hain,


Aane laga hai koi naya rang es par,
Fir koi naya ehsaas hai,
Duahara raha hai jaise purani koi baat ye,
In silsillon se ab dar lagta hai…




1 comment: